Muje Yakeen He Yaaro Ek Din Wo Meri Panaho Me Aayege...
Jab Maut Ke Farishte Muje Chain Ki Nind Sulane Aayege...
Rota Hoga Mera Har Koi Meri Gujri Hui Yaado Ke Saaye Me...
Mere Dushman Bhi Yaaro Us Din Apni Insaniyat Dikhane Aayege...
Sunege Khabar Jab Wo Mere Marne Ki Yaaro Wo Bhi Sahem Jayege...
Aur Bhagte Hue Aakar Meri Bejaan Baaho Se Lipat Jayege...
Aaj Jo Muh Ferkar Gujar Jaya Karte He Meri Nazro Se...
Kal Wo Hi Dekhna Muje Ek Nazar Dekhne Ko Taras Jayege...
Khatam Hoga Us Din Yaaro Ye Zulm - O - Sitam Ka Silsila...
Khud Zulm Hame Is Jaha Me Dhundte Dhundte Thak Jayege...
Rona Mat Mere Yaaro Tum Muje Aakhri Mukaam Pe Le Jate Waqt...
Tumhare Behte Aansu Us Waqt Mere Hath Rok Na Payege...
Wo Bewafa Jo Kehti Rehti Thi Tum Kya Janoge Mahobbat Ko...
Shayad Us Din Wo Meri Mahobbat Ki Inteha Ko Samaj Jayege...
Bahut Royegi Fir Yaaro Wo Muje Paane Ke Liye...
Par Afsos Tab Uske Ye Khwab Ba Ek Khwab Hi Reh Jayege...
Maaf Karna Yaaro Meri Har Khata, Meri Har Buri Baat Ko...
Kyuki Wo Aakhri Din Hoga , Fir Ham Kabhi Laut Ke Na Aayege......
<iz> ;( ;( ;(
0 comments:
Post a Comment